Disclaimer: This poem has been edited by me and many stanza have been included by me. Its a light hearted poem without any offence to anyone.
HAPPY CA DAY !!!!
A tribute to all Chartered Accountants!!!
AK-47 (Companies Act, 2013) ka samna Karta Hua
"WO DEKHO CHARTERED ACCOUNTANT JAA RAHA HAI"
Deadline ke bojh tale daba jaa raha hai,
Vat, Service Tax, TDS Har mahine aa jaate hai,
Time se na bharo toh Notices Aa jaate Hai
Wo dekho ek Chartered Accountant ja raha hai,
Clients ko samjhata hai Ki cash payment 20,000 se Zyada Mat karo
Credit Card se Karwata hai toh A.I.R aa jaata Hai
AIR, 234E notices se Clients ko Save Karta Hai,
Par 26AS ka Mismatch sab par paani pher Deta Hai
Wo dekho ek Chartered Accountant ja raha hai,
40(a)ia "Paid" par hai ya "Payable" par Yeh mystery ko solve karta hai
Lekin khud ki fees humesha Payable Rehti hai
Client Paise Deta Nahin, Departmemt paisa Chorta nahi
Saare Clients ki Audit Fees Mila Kar toh CA, 2013 ke ek provision ki penalty hai.
Woh kya fraud Reporting karega, Fraud toh usske saath hota hai
Wo dekho ek Chartered Accountant ja raha hai,
zindagi se hara hua hai, par "Notice" se haar nahi manata,
Apni Appeal ki ek ek line ise rati hui hai,
Har Roz 10.30 Baje ITAT main aur 11 Baje Income Tax Main jaata hai
din par din replies banata ja raha hai
Wo dekho ek Chartered Accountant ja raha hai,
Das hazaar line ke Trial main Query dhoond lete hain lekin,
Lekin khud ki choice ka pata nahin,
Laptop pe hazaar windows khuli hain,
par dil ki khidki pe koi dastak sunayi nahi deti,
Wo dekho ek Chartered Accountant ja raha hai,
Ammendments and updation karte karte pata hi nahi chala,
Tax ki priority kab life se high ho gayi,
kitabon main gulab rakhne wala , cigarette ke dhuyen main kho gaya,
dil ki zameen se armaanon ki vidayi ho gayi,
weekends pe jo apne pending kaam nibta raha hai,
Roz subhah Newspaper ki jagah
CBDT/CBEC Ke circulars, notifications parda hai
Wo dekho ek Chartered Accountant ja raha hai,
Maze lena ho iske to pooch lo,
"Fees Increment" ki party kab dila rahe ho,
hansi udana ho to pooch lo,
"ITO" kab ja rahe ho?
"ITAT" case ka order kab aa raha hai?
Aur iss saal kitni Audit Karoge?
kharche badh rahe hain, baal kam ho rahe hain,
Refund ki intimation ati nahi, Service Tax ke sitam ho rahe hain,
Companies Act, 2013 ne toh abh audit ko sapna bana diya,
Aapne ab tak li hongi bahut si chuttiyan,
C.A.. ke jivan ka sach batati ye akhri kuch panktiyan,
C.A. wahi ban sakta hai, jo lohe ka jigar rakhta hai,
hum log jee jee ke marte hain , zindagi hai kuch aisi,
ek fauj ki naukri, doosri C.A ki zindagi , dono ek jaisi,
AIR,Revised Schedule vi, GST , DTC , XBRL sab se samna
kartewe apne clients ki rakhsha karta hai
C.A. wahi ban sakta hai, jo roz padhne aur sikhne ka jazba
rakhta ho,
is kavita ka har shabd dil ki gehrayi se aa raha hai,
Wo dekho ek Chartered Accountant ja raha hai
Regards
Prarthana Jalan
__._,_.___
No comments:
Post a Comment